![]() |
|
|
- Karwate badalte badalte subah ho jati hai,
Aapki kasam humein aap bina nind nahi aati hai……
- Bhej raha hoon neh nimantran priyawar tujhe bulane ko,
Hey pariyoin ki rani bhool na jana aane ko……
- Palat kar dekhle jalim tamanna hum abhi rakhte hai,
Agar tum husn rakhti ho to jawani humbhi rakhte hai……
- Phooloin per nikhaar aaya gulshan ko haya aayi,
Wo mere kareeb aaye lete hue angraai……
- Khuda jab husn deta hai to nazakat aa hi jati hai,
Kadam gin ginkar rakhti ho kamar balkhati jati hai……
- Tapan sooraj mein hoti hai tapan garmi mein hoti hai,
Mohabbat aankhein karti hai tadapna dil ko padta hai……
- Dil diya tumhe sambhal kar rakhna,
Kaanch se bana hai pattharoin se door rakhna……
- Dil gaya to koi ye aankhein bhi le jata,
Sanam main kab tak tumhari tasweer dekhta rahoon……
- Ye sharm hai ya haya nazar uthate hi jhuk gayi hai,
Tumhare palko se gir ke sabnam humare aankhoin me ruk gayi hai……
- Continues....
![]() |