![]() |
|
|
- Ye raaz aaj humare samajh mein aaya hai,
Ki bahaaroin ne hi tumhare husn ko churaya hai……
- Mohabbat ka ye ajab hi imtehaan rehta hai,
Milu kisi se bhi per tumhara hi dhayan rehta hai……
- Pyar ki shama dil mein jagate hai kyun,
Agar mujhse pyar nahi to khwabo mein aate hai kyun……
- Kaali ghata chhane se badal baras jate hai,
Aapki yaad aane se hum taras jate hai……
- Kahte hai ki waqt har gam ko bhula deta hai,
Per teri har yaad mere dil ko saja deta hai……
- Jal ki shobha kamal thal ki shobha phool,
Mere dil ki shobha aap hai humein na jana bhool……
- Chand jaisi roshni sitaroin mein nahi,
Aap jaisi hasin hajaro mein nahi……
- Wo mijhse yu naraaz hui to mat puchho kya baat hui,
Gusse mein meri champakali jalkar rakh hui……
- Chnad se sundar chandani, chandani se sundar raat,
Raat se sundar kiran aur kiran se sundar aap……
- Na salaam yaad rakhna na paigaam yaad rakhna,
Hai yehi tamanna ki bas mera naam yaad rakhna……
- Sine se laga lo humein hum wo khushi hai,
Jo tumhare rag rag mein bas ke tumhare gam ko door karti hai……
- Tu aakar chali jati hai phir jakar nahi aati,
Tujhse teri yaad achchhi hai jo aakar nahi jati……
![]() | ![]() |