![]() |
|
|
- Ek din bahaaro ke phool murjhayenge,
Chupke se hum aapko yaad aayenge,
Jab aapko ehsaas hoga humari chahat ka,
Tab tak to hum kahin door nikal jayenge……
- Hasi hoto se gayi hasa sakta hai kaun,
Nind aankhoin se gayi sula sakta hai kaun,
Aag lag jati hai to paani se bujha lete hai,
Dil mein aag lag jaye to bujha sakta hai kaun……
- Gam nahi tumse bichharne ka,
Gam nahi dil ke tadapne ka,
Gam hai ki tumne kashti hi dubo di,
Jis par naaz tha humein us paar utarne ka……
- Phool sabnam mein doob jate ahi,
Jakhm marham mein doob jate hai,
Jab milta nahi koi sahara,
Hum aapki yaadoin mein doob jate hai……
- Kaun kiske kareeb hota hai,
Apna apna naseeb hota hai,
Jab yaad aata hai apna koi,
To dard dil ke kareeb hota hai……
- Aati hai teri yaad kisi teer ki tarah,
Chattan ko cheerti lakeer ki tarah,
Ye baat aur hai ki main ranjha na ban saka,
Par chaha maine tujhe sada heer ki tarah……
- Na jikr kijiye mere ada ke bare mein,
Main janta hoon bahut kuch wafa ke bare mein,
Suna hai wo bhi mohabbat ka shauk rakhte hai,
Jinhe khabar hi nahi kuch wafa ke bare mein……
- Yun to koi tanha nahi hota,
Bina chahe koi kabhi juda nahi hota,
Mujhe meri kismat hi le doobti hai,
Warna koi khushi se bewafa nahi hota……
![]() | ![]() |