![]() |
|
|
- Husn ko chand jawani ko kamal kahte hai,
Dekhne wale tujhe safaye gazal kahte hai,
Aye sangemarmar si tarasi badan,
Hum tujhe Bangalore ka Tajmahal kahte hai……
- Aye zindagi yu mujhse daga na kar,
Main zinda rahun ye dua na kar,
Koi dekhta hai use to hoti hai jalan,
Aye hawa tu bhi use zayada chhuaa na kar……
- Tera aanchal jo hil gaya hota,
Rukh hawa ka badal gaya hota,
Dekh leta ek jhalak teri,
To chand ka bhi dum nikal gaya hota……
- Yaadoin ki dhoop mein uski perchhai si lagti hai,
Sannate mein gunjati koi sehnai si lagti hai,
Aap kareeb hai to apnapan hai,
Varna sine mein saanse bhi parai si lagti hai……
- Na pine ka shauk tha na pilane ka,
Shauk to tha sirf nazre milane ka,
Par kya kare hum nazre hi unse mila baithe,
Jinhe shauk tha nazroin se pilane ka……
- Tanha se the hum bheed mein,
Socha koi nahi apni taqdeer mein,
Ek din achanak tum mili,
Aisa laga kuch khas hai in hatho ki lakeer mein……
- Yaadoin ke sahare ye duniya nahi chalti,
Bina mile kabhi mahfil nahi banti,
Ek bar dil se pukar lo aye sanam,
Tumhari chahat ke bina ye dhadkan bhi nahi chalti……
- Khai thi kasam ki is kadar unko bhool jayenge,
Dekhkar bhi andekha kar jayenge,
Per samne aaya jab chehra unka,
Socha is baar dekh le agli bar kasam nibhayenge.......
![]() |